Posts

Showing posts with the label Mirza Galib

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar..

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar.. Allama Iqbal Poetry Zahid sharab peene de masjid mein beth kar, Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin.. (Mirza Ghalib) Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin, Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin.. (Allama Iqbal)

Ek baat pe kehte ho tum ke

Mirza Ghalib Poetry har ek baat pe kehte ho tum ke ?too kya hai? ? tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ? na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ? yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ? chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ? jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ? ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ? woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ? piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ? rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ? bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata wagarna shehar meiN ?GHalib? kee aabroo kya hai ?

Shehr e Dil

Mirza Ghalib Poetry Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho, Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho.. Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa, Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho.. Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ?? Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ??? Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay, tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho.. ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ? her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .

Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise

Mirza Ghalib Poetry Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise “ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise

Be-Khudi Be-Sabab Nahi’n ‘Ghalib’

Be-Khudi Be-Sabab Nahi’n ‘Ghalib’, Kuchh To Hai Jis Ki Parda-Daari Hai